Friday, April 23, 2010

Kaha tha na is tarhan


Kaha tha na
is tarhan sotay howay
matt chor kar jana
mujhay bay shak jaga daina
bata daina
muhabbat k safar main
sath meray chal nahin saktay
judai k safar main
sath meray chal nahin saktay
tumhain rasta bandalna hai
meri had say nikalna hai
tumhain kis baat ka dar tha?
tumhain janay nahin daita?
kahin ye qaid kar laita?
aray pagli!
muhabbat ki tabiyat main
bardasht nahin hoti
jisay rasta badalna ho
usay rasta badalnay say
jisay had say nikalna ho
usay had say nikalnay say
na koi rook paya hai
na koi rook pay ga
tumhain kis baat ka dar tha
mujhay bayshak jaga daitay
main tum ko daikh hi laita
tumhain koi dua daita
kam say kam yunh to na hota
meray sathi haqeeqat hai
Tumharay baad khonay k liye
Kuch bhi nahin baqi.........

No comments:

Popular Posts