Thursday, April 15, 2010

Har ek daor mein ham, har zamanay mein ham

Har ek daor mein ham, har zamanay mein ham
zeher pitay rahay, geet gatay rahay
jaan detay rahay zindagi kay liyay
sa,at e wasl ki har khushi kay liyay
deen o dunya ki daolat lutatay rahay
faqr o faqa ka tosha sanbhalay rahay
jo bhi rasta chuna us par chaltay rahay
maal walay hiqarat say taktay rahay
ta,an kartay rahay, hath maltay rahay
han nay un par kia harf haq sang zan
jin ki haibat say dunya larazti rahi
jin pe aansoo bahanay ko koi na tha
apnii aankh un kay gham me bikharti rahi
sub say oujhal howay hukm e hakim pe ham
qaid khanay sahay, tazyanay sahay
log suntay rahay saaz e dil ki sadaa
apnay naghmay salakhon say chhantay rahay
khoonchkan deher ka khoonchkan aaiyna
dukh bhari khalq ka dukh bhara dil hen ham
tabe shaair hay jin ka adl o sitam
munsif khair o shar, haq o batil hen ham

No comments:

Popular Posts