Tuesday, April 27, 2010

dil aap dharakta hai dharkaya nahi jata.

dil aap dharakta hai dharkaya nahi jata.
ye raaz-e-mohabbat har ek ko bataya nahi jata.

agar ehsaas ho to mohabbat ko kar lo mehsoos .
ye woh jazba hai jo lufzon mein samjhaya nahi jata 

.dosti kay liye mohabbat aur khuloos hai lazim .
har haath milanay walay ko dost samjha nahi jata .

bohat kam hain log jo dil mein utar jatay hain .
har rah chaltay ko apna banaya nahi jata .

koshish say badal jati hain taqdeerain aksar.
day kar ilzaam qismat ko, dil ko behlaya nahi jata.

No comments:

Popular Posts