Sunday, April 25, 2010

Chupke chupke raat din aansoon bahaana yaad hai

Chupke chupke raat din aansoon bahaana yaad hai
Hum ko ab tak aashiqui ka woh zamaana yaad hai

Tujh se milte hi woh kuchh bebaak ho jaana mera
Aur tera daanton mein woh ungali dabaana yaad hai

Chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagaah
Muddatein guzareen par ab tak wo thikaana yaad hai

Khench lenaa wo mera parde ka konaa daffatan
Aur dupatte mein tera woh munh chhupaana yaad hai

Tujh ko jab tanhaa kabhii paana to az raah-e-lihaaz
Haal-e-dil baaton hi baaton mein jataanaa yaad hai

Aa gaya gar vasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaaq
Woh tera ro-ro ke bhi mujhko rulaana yaad hai

Dopahar ki dhoop mein mere bulane ke liye
Woh tera kothe pe nangey paaon aana yaad hai

No comments:

Popular Posts