Sunday, April 25, 2010

badnaam mere pyaar kaa afsaanaa huaa hai

badnaam mere pyaar kaa afsaanaa huaa hai
diiwaane bhii kahate hain kii diiwaanaa huaa hai

rishtaa thaa tabhii to kisii bedard ne todaa
apanaa thaa tabhii to koii begaanaa huaa hai

baadal kii tarah aa ke baras jaaiye ik din
dil aap ke hote hue viiraana huaa hai

bajate hain Khayaalon mein terii yaad ke ghungaruu
kuchh din se meraa ghar bhii pari Khaanaa huaa hai

mausam ne banaayaa hai nigaahon ko sharaabii
jis phuul ko dekhuun wahii paimaanaa huaa hai

No comments:

Popular Posts