Friday, April 23, 2010

Badal Main aur tum

Badal Main AUr TUM
Baadal ke or bahar ke rishte ajeeb hain!
kali ghata ke dosh per barfon ka rakht hai
jitne zameen pe behtai hain dariiya, sabhi karukh
ik behar be kinaar ki manzil ki simt hai

khuaabon main aik bheegi hui khush dili ke saath
milti hai aashna se koi ajnabi si moj
baadal bhanwer ke haath se laite hain apna rizq
phir us ko bant'te hain ajab be rukhi ke saath

jangal main, sehan baagh, main shehron main dasht main
chashmon main, aabshaar main,jheelon ke tasht main
gahe ye oss ban sanwerte hain berg berg
gahe kisi ki aankh main bherte hain is tarah
aansoo ki aik boond main dajla dikhaai de
or doosray hi pal main jo dekhon to door tak
raig-e-rawan-e-rawan-e-dard ka sehra dikhaai de!

baadal ke or behr ke jitne hain silsilay
mujh se bhi teri aankh ke rishte, wohi to hain!!

No comments:

Popular Posts