Sunday, April 18, 2010

Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi

Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi,
Jab Wo Mehendi Rachaye Haathon Mein,
Apni Aahat Ke Khauf Se Larazaan,
Surkh Aanchal Mein Muh Chhipaye Hue,
Apne Khat Mujhse Lene Aayi Thi,
Uski Sehmi Hui Nigahon Mein,
Kitni Khamosh Iltijayein Thi,
Uske Chehre Ki Zard Rangat Mein,
Kitni Majburiyonke Saye The,
Mere Hathonse Khat Pakadate Hi,
Jane Kay Soch Kar Achanak Wo,
Mera Shaana Pakad Kar Royi Thi,
Uske Yaaquut Rang Honthon Ke,
Kapkapaate Hue Kinaro Par,
Sekdon Ankahe Fasane The,
Sard Shaamon Mein Der Tak Aksar,
Jab Ye Manzar Dikhayi Deta Hai,
Ek Lamha Heenayi Haathon Se,
Mujhko Apni Taraf Bulata Hai,
Humnashin Ruth Kar Na Ja Mujhse,
Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi...

No comments:

Popular Posts