Saturday, April 24, 2010

ai ishq hame.n barbaad na kar

ai ishq hame.n barbaad na kar
***************************
ai ishq na chhe.D aa aa ke hame.n
ham bhuule huo.n ko yaad na kar
pahale hii bahut naashad hai.n ham
tuu aur hame.n naashaad na kar
qismat kaa sitam hii kam nahii.n kuchh
ye taazaa sitam ijaad na kar
yuu.N zulm na kar bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
jis din se mile hai.n dono.n kaa
sab chain gayaa aaraam gayaa
cheharo.n se bahaar-e-subah ga_ii
aa.Nkho.n se faroG-e-shaam gayaa
haatho.n se Khushii kaa jaam chhuuTaa
ho.nTho.n se ha.Nsii kaa naam gayaa
GamGii.n na banaa naashaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
raato.n ko uTh uTh rote hai.n
ro ro kar duaaye.n karate hai.n
aa.Nkho.n me.n tasavvur dil me.n Khalish
sar dhunate hai.n aahe.n bharate hai.n
ai ishq ye kaisaa rog lagaa
jiite hai.n na zaalim marate hai.n
ye zulm to ai jallaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
ye rog lagaa hai jab se hame.n
ranjiidaa huu.N mai.n biimaar hai vo
har vaqt tapish har vaqt Khalish
be-Khvaab huu.N mai.n bedaar ha vo
jiine se idhar bezaar huu.N mai.n
maranbe pe udhar tayyaar hai vo
aur zabt kahe fariyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
bedard zaraa insaaf to kar
is umr me.n aur maGmuum hai vo
phuulo.n kii tarah naazuk hai abhii
taaro.n kii tarah masuum hai vo
ye husn sitam ye ranj Gazab
majabuur huu.N mai.n mazaluum hai vo
mazaluum pe yuu.N bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
ai ishq Khudaaraa dekh kahii.n
vo shoKh hasii.n badanaam na ho
vo maah-e-laqaa badanaam na ho
vo zohraa-jabii.n badanaam na ho
naamuus kaa us ko paas rahe
vo pardaa-nashii.n badanaam na ho
us pardaa-nashii.n ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
ummiid kii jhuuThii jannat ke
rah rah ke na dikhalaa Khvaab hame.n
aa_iindaa ke farzii ishrat ke
vaade se na kar betaab hame.n
kahataa hai zamaanaa jis ko Khushii
aatii hai nazar kaamayaab hame.n
chho.D aisii Khushii ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
do din hii me.n ahad-e-tifalii ke
maasuum zamaane bhuul gaye
aa.Nkho.n se vo Khushiyaa.N miT sii ga_ii.n
lab ke vo taraane bhuul gaye
un paak bahishtii Khvaabo.n ke
dilchasp fasaane bhuul gaye
un Khvaabo.n se yuu.N aazaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
aa.Nkho.n ko ye kyaa aazaar huaa
har jazb-e-nihaa.N par ro denaa
aahang-e-tarab pe jhuk jaanaa
aavaaz-e-fuGaa.N par ro denaa
barbat kii sadaa par ro denaa
mutrib ke bayaa.N par ro denaa
ehasaas ko Gam buniyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
jii chaahataa hai ik duusare ko
yuu.N aaTh pahar ham kare.n
aa.Nkho.n me.n basaaye.n Khvaabo.n ko
aur dil ko Khayaal aabaad kare.n
Khilvat me.n bhii jo jalvat kaa saamaa.N
vahadat ko du_ii se shaad kare.n
ye aarazuue.n ijaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
vo raaz hai ye Gam aah jise
paa jaaye ko_ii to Khair nahii.n
aa.Nkho.n se jab aa.Nsuu bahate hai.n
aa jaaye ko_ii to Khair nahii.n
zaalim hai ye duniyaa dil ko
yahaa.N bhaa jaaye ko_ii Khair nahii.n
hai zulm magar fariyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
duniyaa kaa tamaashaa dekh liyaa
GamGii.n sii hai betaab sii hai
ummiid yahaa.N ik vaham sii hai
taskiin yahaa.N ik Khvaab sii hai
duniyaa me.n Khushii kaa naam nahii.n
duniyaa me.n Khushii nayaab sii hai
duniyaa me.n Khushii ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

No comments:

Popular Posts