Tuesday, April 27, 2010

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
k ashq rokna tum se mohaal hona hay

har aik laab pe hay meri wafa k afsanay
tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

baja hay ka khaar hain lakin bahar ki rot main
yeh teh hay k huamin bhi nehaal hona hay

tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
tumharay hijar main ik lamha bhi sal hona hay

humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bhahoon main
kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
baas intizaar hay kaab yeh kamal hona hay

har shaks chalay ga humari rahoon per
mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
humari zaat ko aisa sawal hona hay
" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga  

usay bhi apne kiye ka milal hona hay .

No comments:

Popular Posts