Tuesday, April 20, 2010

Aasmaan k chand aur taarey

Aasmaan k chand aur taarey..
Tere mere khawab na hon!!
Ye jo farsh-e-khaak pe bikhra reza reza aaina hai..
Iss mein jitne aks hain saray..
Tere mere khawab na hon..!!

Dair rahain jo aankhon mein tou khawab parinday ban jate hain..
Lakh inhain azaad karo ye phir kar wapas aa jate hain..
Ye jo qufs k darwaze mein par phailaye baithe hain..
Ye darmanda oogan haray..
Tere mere khawab na hon..!!

Palkon ki dehleez se lag kar dekh rahe hain raston ko..
Mit'ti banti shaklon ko aur jalte bujhte rangon ko..
Bojhal chup aur oojhal dukh k saye saye baithe hain..
Ye be-chehra aur bechare..
Tere mere khawab na hon..!!

Behr-e- fanna mein mil jane tak milne se majboor bhi hain..
Ik dooje k saath bhi hai aur ik dojay se door bhi hain..
Lamhon k gird ab safar mein jo chakraye baithe hain..
Ye dono....darya k kinaray..
Tere mere khawab na hon..!!

No comments:

Popular Posts