Monday, April 26, 2010

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya 

kuch din to mera aks raha ayeena naqsh
phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya 

jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya 

kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
us nay churaaya haath to sehra badal gaya 

koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya 

ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal
wo be niaaz saara ka saara badal gaya 

uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan
parda utha to saara tamaasha badal gaya 

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya 

kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya 

shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya 

qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya 

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya 

andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee
us no bahaar naaz ka chehra badal gaya 

aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee 

apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
hanzala yeh kon shehar ka naqsha badal gaya

No comments:

Popular Posts