Monday, March 15, 2010

Zulmat-E-Shab Mein Ujaalo Ki Tamanna Na Karo

Zulmat-E-Shab Mein Ujaalo Ki Tamanna Na Karo,
Khwaab Dekha Hai To Ab Khwaab Ko Ruswa Na Karo,

Bojh Suraj Ka Padega To Lachak Jayegi,
Raat Ki Surmayi Shaahon Pe Bharosa Na Karo,

Khwaab, Ummid, Nasha, Saans, Tabassum, Aansu,
Tootne Wali Kisi Shay Par Bharosa Na Karo,

Humne Aankhon Ko Jalaya Tha Ke Kuch Dhundh Chhate,
Tum Nayi Nasl Ke Sooraj Ho Tum Aisa Na Karo,

AshQ Peene Ka Hunar Seekh Lo Humse Aakar,
Jazba-E-Dil Ko Nigaahon Se Havedaa Na Karo,

Mausami Barf Hai Kuch Der Mein Pighal Jayenge,
In Badalte Hue Rishton Par Bharosa Na Karo,

Ye Fazaa Raas Na Aayegi Tumhe Aye SANAM,
Yaad Guzre Hue Lamhaat Ki Taaza Na Karo...

No comments:

Popular Posts