Monday, March 15, 2010

WO Bazaahir Jo Zamane Se Khafa Lagta Hai

WO Bazaahir Jo Zamane Se Khafa Lagta Hai,
Hans Ke Bole Bhi To Duniya Se Juda Lagta Hai,

Aur Kuch Der Na Bujhne De Isse Rab-E-Sahar,
Doobta Chand, Mera Dast-E-Dua Lagta Hai,

Jisse Munh Fer Ke Raste Ki Hawa Guzri Hai,
Kisi Ujde Hue Aangan Ka Diya Lagta Hai,

Ab Ke Saawan Mein Bhi Zardee Na Gayi Chehron Ki,
Aise Mausam Mein To Jungle Bhi Hara Lagta Hai,

Sheher Ki Bhid Mein Kholte Hai Kahan Uske Nakoosh,
Aao Tanhayi Mein Sochein Ke Wo Kya Lagta Hai,

Munh Chhupaye Hue Guzra Hai Jo Ehbaabse Aaj,
Uski Aankhon Mein Koi Zakhm Naya Lagta Hai,

Ab To Mohsin Ke Tasavvur Mein Utar Rab-E-Jaleel,
Is Udaasi Mein To Pathar Bhi Khuda Lagta Hai...

No comments:

Popular Posts