Monday, March 15, 2010

Utri Ajeeb Roshniyaan Raat Khwaab Mein

Utri Ajeeb Roshniyaan Raat Khwaab Mein,
Kay Kya Na Aks Tair Rahe The Sharab Mein,

Kab Se Hai Ek Harf Pe Nazrein Jami Hui,
Wo Padh Raha Hon Jo Nahi Likha Kitaab Mein,

Phir Tareeki Ki Khwaab Se Chaunka Hai Rasta,
Phir Roshni Se Door Gayi Hai Shabab Mein,

Paani Nahi Ke Apne Hi Chehre Ko Dekh L'un,
Manzar Zameen Ke Dhundta Hoon Mehtaab Mein,

Kab Tak Rahega Rooh Pe Pairhaan-E-Badan,
Kab Tak Hawa Aeer Rahegi Hubaab Mein,

Jeene Ke Sath Maut Ka Dar Hai Laga Hua,
Khooshki Dikhayi Di Hai Samundar Ko Khwab Mein,

Ek Yaad Hai Ke Chheen Rahi Hai Labon Se Jaam,
Ek Aks Hai Ke Kaanp Raha Hai Sharab Mein...

No comments:

Popular Posts