Monday, March 15, 2010

maiN tujhe bhool gayee, ye bhi nahiN hai, lekin

maiN tujhe bhool gayee, ye bhi nahiN hai, lekin
maiin tujhe yaad bhi har waqt nahiN kar sakti
zindagi kitni humaH-geer hai, kitni purshor
sirf ashkoN hi se daaman to nahiN bhar sakti

kaise fitrat ke takaazoN se kinara kar looN
kis tarah talkHi-e-zehraab gawaara kar looN
zindagi kitni humaH-geer hai, kitni purshoor

maiN mohabbat ke takaze bhi samajhtiN hooN magar
maiN haqiqat ke ishaare bhi to pehchaantiN hooN
maiN teri yaad meiN kHud apne se gHaafil ho jaaoN
ma'siwa apne kisi aur ko bhi janti hoon

zindagi sirf tarana hi tarana to nahiN
kuchh haqiqat bhi hai ye mahaz fasana to nahiN
maiN haqiqat ke ishaare bhi to pahchaanti hooN

sher-o-nagHma meiN guzarti hui rangiN raateN
kaun hoga jinheN nagHmaat ka ehsas nahiN
talkHi-e-gHum bhi to ik Thos haqiqat hai magar
kaun hai jisko haqiqat ka zara paas nahin

yeH dhaRhkte hue dil aur yeH khanakte hue saaz
yeH mahakte hue nagHmaat, yeH bajti aawaz
kaun hoga jise nagHmaat ka ehsaas nahiN

zindagi kitni humaH-geer hai, kitni purshor
aur iss shor meiN nagHmoN ki haqiqat kitni
maiN tujhe yaad kiye jaaooN yeH mumkin hai magar
iss humaH-geeri mein ik yaad ki fursat kitni

kitne dil-chasp haiN, ulfat ke taraane lekin
kitne rangiN hai ye saada-se fasaane lekin

iss humaH-geeri meiN in sab ki haqiqat kitni?

No comments:

Popular Posts