Monday, March 22, 2010

Main khawab bohat deakhta hoon

Main khawab bohat deakhta hoon
Aisay khawab!
Jin main wisal k rastay behar ki waadi say ho k nahi guzartay
Jin main mohabbat humesha adh-khulay phool ki tarhan khubsurat
Aur bachay ki muskaan ki tarhan pakeeza hoti hai
Aisay khawab
Jahan aik muskurahat ki qeemat hazar aansu nahi hotay
Meri palkoon ki shakhoon par kaiee aisay khawab baithay hain
Un ki gungunahat mujhay jeenay pay uksati hai
Naiea rastoon ki aur lay chalti hai
Mujhay apnay khawboon say mohabbat hia
un khawaboon main rehnay waalay aik aik shakhs say mohabbat hai
Un khawbaoon main dikhnay waali aik aik shay say mohabbat hai
K Ye sub mera hai sirf mera
Meray khawab meray ilawah koi nahi deakh sakta
Jub tak main na inhay deakhana chaoon
Koi unhay meri aankhoon say chura nahi sakta
Jub tak main khud na kisi ki aankhoon main saka doon
Meray khawboon
Aj main iqraar karta hoon
Ye sach hai k mujhay un aansoon say dar nahi lagta
Magar main phir shayad isliya roonay say darta hoon
K In aankhoon main tum rehtay ho
Tumhara hona mera hona hai
Aur main tumhay khoonay say darta hoon........!!

No comments:

Popular Posts