Monday, March 15, 2010

Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa

Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa
Aur jab tuj say mila toot kay roya kaisa

Zindagi maiN bhi ghazal hi ka kareena rakha
Khawab dar khawab teray gham ko paroya kaisa

Ab toH chehrun pay bhi katbuo’n ka ghuman hota hai
AankhaiN pathraey hoi haiN lab-e-goya kaisa

Dekh ab qurb ka mousam bhi na sar sabz lagay
Hijar hi hijar marasim main samoya kaisa

Aik aansoo tha kay dariya-e-nidamat tha FAYSAL
Dil say baibaak shanawar ko daboya kaisa

No comments:

Popular Posts